PM Pranam Yojana ke online avedan ki prakriya: Jaaniye kaise karein avedan, kaun-kaun si jaankariyan bharein, aur kaise apne documents attach karein. Sabhi mahatvapurna charanon ki spasht jaankari paayein.
“PM Pranam Yojana application process, benefits, eligibility, documents”
Kendra sarkar har baar kisano ke hit mein kaam karti rahti hai. Isi ke saath alag-alag yojana bhi shuru karti hai. Jiske labh unhein samay rahte prapt karaye gaye hain. Ek baar phir kendra sarkar kisano ke hit ke liye nayi yojana shuru karne ja rahi hai. Jiska naam hai PM Pranam Yojana. Is yojana ke antargat kisano par rasaynik urvarakon par subsidy ka bojh kam kiya jayega. Aapko bata den ki 2022-23 mein iska bojh 2.25 lakh karod rupaye pada tha, jisko ab kam karna hai. Ek report ke anusar is yojana ke liye koi bhi naya budget nirdharit nahi kiya jayega. Balki ek jagrukta abhiyan abhi chalaya jayega, jismein kisano ko ye samjhaya jayega ki, kaise iska kam istemal karke apna bojh kam kiya ja sakta hai.
Contents
- 1 PM Pranam Yojana ka full form
- 2 PM Pranam Yojana uddeshya
- 3 PM Pranam Yojana 27 July se hogi shuru
- 4 PM Pranam Yojana ko Cabinet se mili manzoori (Latest Update)
- 5 PM Pranam Yojana mein labh evam visheshtaayein
- 6 PM Pranam Yojana ke labh (PM PRANAM Yojana Benefits in Hindi)
- 7 PM Pranam Yojana online registration
- 8 PM Pranam Yojana mein aavedan
- 9 Conclusion
PM Pranam Yojana ka full form
PM Pranam Yojana ka full form yani ki poora naam Pradhanmantri Promotion of Alternative Nutrients for Agriculture Management Yojana hai.
PM Pranam Yojana uddeshya
PM Pranam Yojana ko kendra sarkar dwara isliye shuru kiya gaya hai, taaki badhti chemical fertilizer subsidy ko kam karaya ja sake. Kyunki har saal kisano ke beech maang lagatar badhti ja rahi hai. Aise mein kendra sarkar ki samasya bhi samay ke saath-saath badhti ja rahi hai. Lekin ek jagrukta abhiyan chalane ke baare mein jaroor vichar kiya gaya hai taaki iski maang ko kam kiya ja sake. Isi uddeshya ke saath is yojana ko shuru kiya gaya hai.
PM Pranam Yojana 27 July se hogi shuru
Pradhanmantri Narendra Modi ji ne pichle saal PM Pranam Yojana shuru karne ki ghoshna ki thi. Kintu ise ab tak shuru nahi kiya gaya tha. Haalhi mein khabrein aa rahi hain ki Modi ji 27 July ko Rajasthan ke Sikar se PM Pranam Yojana ki shuruaat karte hue ise hari jhandi dikhayenge. Iske baad jald se jald is yojana ke sancharan ka kaam shuru ho jayega.
PM Pranam Yojana ke baare mein taza khabar 2023 (PM PRANAM Yojana 2023 Latest News)
Vitt mantri Nirmala Sitharaman dwara kendriya budget 2023-24 ghoshit karte hue is baat ki ghoshna ki gayi hai. PM Pranam Yojana ke budget mein kisi tarah ka koi badlav nahi kiya jayega. Isko vaise hi rakha jayega. Bas iske liye sarkar jagrukta abhiyan chalayegi. Jismein kisano ko rasaynik urvarakon ko kam istemal karne ke baare mein bataya jayega. Iske liye rajyo se bhi madad mangi jayegi.
PM Pranam Yojana ko Cabinet se mili manzoori (Latest Update)
Kendra sarkar dwara shuru ki gayi PM Pranam Yojana ko haalhi mein Cabinet se manzoori de di gayi hai. Aur sarkar ne is yojana ke liye agle teen saal mein 3 lakh 70 hazaar rupaye kharch karne ka ailan bhi kar diya hai.
PM Pranam Yojana mein labh evam visheshtaayein
- Is yojana ko kendra sarkar dwara kisano ke liye shuru kiya gaya hai. Jiske kaaran har rajya ke kisan ko iska labh prapt karaya jayega.
- Is yojana ke liye ek jagrukta abhiyan chalaya jayega. Jismein kisano ko bataya jayega ki kis tarah se chemical ka istemal kam kiya jaana chahiye. Isse unki fasal bhi achhi hogi aur kisi tarah ka koi nuksan bhi nahi hoga.
- Is yojana ke tahat nano urea aur sulphur coated urea jaisi cheezon ka ke istemal karne ke liye badhava diya ja raha hai.
- Saath hi kisano ki aay badhane ke uddeshya ye jaivik kheti se milne wale product ki marketing par bhi sarkar ki or se jor diya jayega.
- Kendra sarkar is jagrukta abhiyan ko rajya sarkaron ki madad se, gaon, block, jila aadi har taraf shuru karayegi.
- Iska sabse bada labh kisano ke saath-saath jantako hoga, jo aise kisano ko rasaynik urvarakon se door rehne mein sahayata kar sakte hain.
Rasaynik urvarakon ki kami* ko pura karne ke liye paramparik urvarakon ka bhi istemal hota rahega.
Kendra sarkar is yojana ke karya-anvayan ko puri tarah se monitor karti rahegi. Iske liye ek vishesh cell bhi banaya gaya hai, jo karya-anvayan ki jankari ekatra karega.
PM Pranam Yojana ke labh (PM PRANAM Yojana Benefits in Hindi)
Is yojana se labh utha sakte hain woh kisan, jinki fasal mein takneek se paramparik urvarakon ka upyog ho raha ho. Jisse ki unki fasal bhi achhi hoti hai aur unhein usi keemat par bech kar munafa milta hai.
Iske saath-saath un kisano ko bhi iska labh milega, jo takneek se paramparik urvarakon ka upyog nahi karte hain, balki chemical urvarak ka upyog karte hain.
Is yojana se chemical fertilizer subsidy mein kami aane se kisano ko kuch had tak aaram milega. Jisse unka bojh bhi kam hoga.
PM Pranam Yojana online registration
PM Pranam Yojana mein online registration karne ki koi jaankari abhi tak prapt nahi hui hai. Haalanki aapko bata den ki kisano ke liye aise hi alag-alag yojanaon ke tahat online registration kiya jaata hai.
PM Pranam Yojana mein aavedan
PM Pranam Yojana ke antargat online registration ki jaankari abhi tak prapt nahi hui hai. Iske liye kendra sarkar dwara ghoshna ki jati hai. Jise jaanne ke baad hi kisano ko iske liye aavedan karna hoga.
- Sabse Pehle Aapko Adhikarik Website Par Jana Hoga: Pehle aapko adhikarik website par jana hoga, jisko aapko login ID daalkar kholna hoga.
- Jab Aap Website Open Karenge To Aapke Samne Home Page Open Hoga: Jab aap website open karenge to aapke samne home page open hoga. Us page par aapko yojana ka link prapt hoga.
- Home Page Par Diye Gaye Link Par Click Karen Aur Aage Badhe: Home page par diye gaye link par click karen aur aage badhe. Jaise hi aap naye page par pahunchenge. Vahaan aapko avedan patra ka link dikhayi dega.
- Is Link Par Click Karen Jiske Baad Aapke Samne Avedan Patra Khul Jayega: Is link par click karen jiske baad aapke samne avedan patra khul jayega. Is patra par aapke samne zaroori jaankari dee gayi hai. In jaankariyon ko sahi tarah se padhe. Iske baad form mein maangi gayi jaankariyan bhare.
- Is Baat Ka Dhyaan Rakhe Ki Jo Jaankari Maangi Gayi Hai Sirf Usi Ko Bhare: Is baat ka dhyaan rakhe ki jo jaankari maangi gayi hai sirf usi ko bhare. Kyunki uske alawa bhari hui jaankari maany nahi hogi.
- Iske Baad Dastaavez Attach Kare: Iske baad dastaavez attach kare. Jiske baad aapke samne submit ka option aayega. Is option par click karein aur form jama kar dein.
Home Page | View |
Offical Website | Comming soon |
Conclusion
PM Pranam Yojana kendra sarkar dwara shuru ki gayi hai. Jiska uddeshya chemical fertilizer subsidy mein kami aane tak kisano ko rasaynik urvarakon ka istemal kam karne mein madad karna hai. Taaki unko chemical urvarakon ki apeksha kam daam par mile aur unka bojh bhi kam ho. Is yojana ke tahat kendra sarkar kisano ko jagruk banane ke liye alag-alag rajyon mein jagrukta abhiyan chalayegi. Jisse ki kisano ko is yojana ke labh ka sahi istemal ho sake.”