MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana

Rajya Bimari Sahayata Yojana MP | Shivraj Singh Chouhan Health Scheme | Madhya Pradesh Disease Support Scheme | MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Apply Online |

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana mein garibi rekha se neeche aane wale logon ke liye sarkar ne ek mahatvapurn aur kalyankari yojana shuru ki hai. Is yojana ka naam hai “Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana”. Yojana ke antargat jo log patra honge aur jin logon ka naam labharta ke taur par chuna jayega, unhe chinhit ki gayi bimari ke ilaj ke liye sarkar ki taraf se arthik sahayata milegi. Taki woh apni bimari ka ilaj samay rahte hue karva sake aur bimari ka ilaj karvane ke liye unhe kisi se karz bhi na lena pade.

Is article mein ham vistar se jaankari prapt karne ka prayas karenge ki Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana kya hai aur Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana mein avedan kaise karen.

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana

Yojana Ka NaamRajyaKisne Shuru KiLabhartaUddeshyaAadhaarik WebsiteHelpLine Number
Rajya Bimari Sahayata Nidhi YojanaMadhya PradeshMukhyamantri Shivraj Singh ChouhanMadhya Pradesh Ke BPL Card DharkBimari Ke Ilaj Ke Liye Arthik Sahayata Denahttps://www.health.mp.gov.in/en/state-illness-assistance-fundN/A

Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Kya Hai

Madhya Pradesh mein Mukhyamantri Shivraj Singh Chouhan ji ke dwara Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana ko chalaya ja raha hai. Is yojana ka fayda mukhya taur par BPL card rakhne wale Madhya Pradesh ke logon ko prapt ho sakta hai. Yojana ke antargat BPL card dhari patients ko chinhit bimari ki treatment ke liye arthik sahayata sarkar ke dwara di jayegi.

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Antargat Aane Wali Bimariyan

Yojana ke madhyam se nimn bimariyon ke ilaj ke liye sahayata rashi sarkar de rahi hai:

  • Cancer Rog
  • Hriday Shalyakriya
  • Gurda Pratyaaropan
  • Ghutna Badalna
  • Kulha Badalna
  • Thorasic Surgery
  • Sir Ki Chotain
  • Spinal Surgery
  • Retinal Detachment
  • Prasavottar Jatilatayen
  • Brain Surgery
  • Neuro Surgery
  • M.D.R.
  • Pacemaker
  • Vascular Surgery
  • Congenital Malformation
  • Plastic Anemia
  • Burn and Post Burn Contracture
  • Chronic Renal Disease (Nephrotic Syndrome, Peritoneal Dialysis, Hemodialysis)
  • Swine Flu (“C” Category)
  • Nih Santanta Jaise Bimariyon Ka Ilaaj Kiya Jayega

Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Uddeshya

Agar Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana ke uddeshya ke baare mein baat ki jaaye, to is yojana ka mukhya uddeshya garibi rekha se neeche jindagi guzarne wale parivaron ke har vyakti ko kuch bimari ke ilaj ke liye arthik sahayata dena hai. Taki yojana ke madhyam se garib vyakti samay rahte hue apna ilaj karva sake aur bimari se chhutkara pa sake.

Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Labh

  • Yojana ko shuru karne ki ghoshna Mukhyamantri Shivraj Singh Chouhan ji ne ki thi, jo ki jilon mein lagu hai.
  • Sirf BPL card holder ko hi yojana ka fayda milega, aisa sarkar ka kehna hai.
  • Garibi rekha se neeche jindagi guzarne wale log bhi yojana ka fayda paane ke liye patra honge.
  • Is yojana ke madhyam se garib logon ko ilaj karwane ke liye samay par arthik sahayata mil sakegi.
  • Arthik sahayata paane ke liye wahi log patra honge, jinka naam yojana ki list mein hoga.
  • Yojana ke antargat treatment ki rakam kam se kam 25000 aur adhik se adhik 2 lakh sarkar ne tay ki hui hai.

Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Patrata (Eligibility)

  • Yojana ke liye sirf Madhya Pradesh ki mool nivasi hi patra honge.
  • Yojana ke liye vyakti ka BPL card dhari hona avashyak hai.
  • Chinhit bimari mein se kisi ek ya fir usse adhik bimari hone par yojana ka fayda milega.

Madhya Pradesh Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Dastavez (Documents)

  • Aadhaar card ki photocopy
  • Phone number
  • Email ID
  • Manyata prapt chikitsalay se estimate BPL card
  • Passport size ki rangin photo

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Official Website

Is yojana ke liye online avedan karne ke liye ya fir anya kisi bhi prakar ki jaankari paane ke liye aap adhikarik link par visit kar sakte hain.

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Form PDF Download

Yadi aap is yojana mein avedan karne ke liye offline prakriya apnate hain to offline avedan ke liye jila collector ke office mein chale jaayein. Ab aapko vahan se sarvajanik swasthya aur parivar kalyan board ki taraf se application form ko prapt kar lena hai. Lekin yadi aap online avedan karna chahte hain aur iske liye yojana ki adhikarik website ke home page par chale jaayein aur avedan kare wale option par click karein. Ab screen par application form ka PDF open hoga, aap ise print ya download kar lena hai.

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Offline Avedan

  • Application form mil jaane ke baad ab sabhi jaankariyon ko application form ke andar darj kar dena hai.
  • Ab avashyak dastavez ko saath mein attach karna hai.
  • Ab ise vahi par maujood karmachari ke paas jama kar dena hai.
  • Iske pashchat collector ke dwara BPL praman patra aur aavaasiya praman patra aur civil surgeon praman patra jaari kiya jayega.
  • Iske baad kameti anumodan ke liye aapke application form ki jaanch karegi.
  • Sabhi jaankari sahi paaye jaane par fayda dene ke liye manjoori pradaan kar di jayegi. Is prakar se is yojana mein offline avedan kar sakte hain.

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Online Avedan

  • Jab aapko application form mil jayega to usmein sabhi jaankariyon ko darj karna hai.
  • Ab avashyak dastavez ko attach karna hai.
  • Sabse aakhiri mein form ko submit kar dena hai. Is prakar se yojana mein online avedan bhi kar sakte hain.

MP Rajya Bimari Sahayata Nidhi Yojana Helpline Number

Batana chahte hain ki, sarkar ne abhi yojana ke liye helpline number jaari nahi kiya hua hai. Jaise hi sarkar yojana ke liye helpline number jaari karti hai, waise hi helpline number ko isi article mein hum update kar denge, taki aap samasya ka samadhan prapt kar sake ya fir puchhataach kar sake.

Offical Website Click Here
Home PageClick Here

Also Read :-

Hey, My Name is Paresh Thakor From Banaskatha, Gujarat & I Have Been Blogging Since 2 Years Ago. I Have 75+ Websites Which I Manage by Myself.

Leave a Comment