Ladli Behna Awas Yojana MP | Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Scheme | MP Ladli Behna Awas Yojana | Madhya Pradesh Housing Scheme | Mukhyamantri Ladli Behna Awas Yojana | Ladli Behna Awas Yojana Benefits | Ladli Behna Awas Yojana Eligibility |Apply Online for Ladli Behna Awas Yojana
Ladli Behna Awas Yojana 2023 MP, jo Madhya Pradesh sarkar dvaara chalayi ja rahi hai, uske antargat mahilaon ko sarkar ke dwara ab 1250 rupaye diye ja rahe hain. Iske alawa, ab sarkar ek kadam aage badhte hue mahilaon ke liye aur bhi acche kaam kar rahi hai, jiske antargat sarkar ne ek mahatvapurna aavas yojana Ladli Behnaon ke liye shuru karne ja rahi hai aur sarkar ne is yojana ka naam “Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana” rakha hua hai. Pahle sarkar mahilaon ko arthik sahayata de rahi thi aur ab is yojana ke madhyam se sarkar mahilaon ko unke khud ke ghar ki saugat bhi de rahi hai. Chaliye is article mein vistar se jaankari prapt karte hain ki Ladli Behna Awas Yojana kya hai aur Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana mein aavedan kaise karen.
Contents
- 1 Ladli Behna Awas Yojana 2023
- 2 Ladli Behna Awas Yojana 2023
- 3 Mukhyamantri Ladli Behna Awas Yojana ka Uddeshya
- 4 Mukhyamantri Ladli Behna Awas Yojana Labh evam Visheshtaayein
- 5 Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana Patrata (Eligibility)
- 6 Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana Dastavej (Documents)
- 7 Ladli Behna Awas Yojana Adhikarik Website (Official Website)
- 8 Madhya Pradesh LadliBehna Awas Yojana Form PDF
Ladli Behna Awas Yojana 2023
Yojana Ka Naam | Ladli Behna Awas Yojana |
---|---|
Rajya | Madhya Pradesh |
Kisne Shuru Ki | Mukhyamantri Shivraj Singh Chouhan |
Labharti | Madhya Pradesh ki behne |
Uddeshya | Be ghar logon ko ghar aur kachche gharo mein rahne vaalon ko pakka makaan dena |
Adhikarik Website | https://cmladlibahna.mp.gov.in/ |
Helpline Number | 0755-2700800 |
Ladli Behna Awas Yojana 2023
Madhya Pradesh Mukhyamantri Shivraj Singh Chouhan ji dwara pehle chalayi ja rahi yojana ka naam Mukhyamantri Antyodaya Awas Yojana tha, iska naam Mukhyamantri ji ne badal diya gaya hai, ab is yojana ko Mukhyamantri Ladli Behna Awas Yojana ke naam se jana jayega. Yojana ka faayda khaas taur par aise logon ko diya jayega, jinhone ab kisi bhi wajah se Kendra sarkar ki Pradhan Mantri Awas Yojana ka faayda nahi prapt kiya hai. Yojana ke madhyam se Antyodaya parivaron ko to aawas diya hi jayega, iske alawa ab sabhi jaati ke aise log jinke paas khud ka ghar nahi hai ya phir jo log kachche ghar mein rehte hain, unhe aawas upalabdh karwaya jayega. Is yojana ka faayda rajya mein takriban 23 lakh se bhi adhik parivaron ko milne ki ummeed hai. Yojana mein aavedan karne ke liye sarkar ne adhikarik website bhi jaari kar di hai. Yojana mein aasaani se online aavedan kiya ja sakta hai. Yojana ke liye sarkar ne helpline number bhi jaari kiya hua hai, taaki logon ki samasya ka samadhan ghar baithe ho sake.
Mukhyamantri Ladli Behna Awas Yojana ka Uddeshya
Yojana ka mukhya uddeshya beghar logon ko unka khud ka ghar dena hai, kyun ki sarkar ke dwara haal hi mein ek survey karwaya gaya tha, jismein sarkar ko yah jaankari prapt hui ki, abhi bhi Madhya Pradesh mein kai log hain, jinke paas unka ghar nahi hai aur aise log kachche gharon mein rehne ke liye majboor hain ya phir jhuggi banakar rehne ke liye majboor hain. Aise mein sarkar ne inhi logon ki sudh lete hue uparokt yojana ki shuruaat ki hai, jiska mukhya lakshya Madhya Pradesh mein sabhi kachche gharon ko pakke gharon mein tabdeel karna hai aur sabhi beghar logon ko ghar pradan karna hai.
Mukhyamantri Ladli Behna Awas Yojana Labh evam Visheshtaayein
- Shivraj Singh Chouhan ji ke dwara is yojana ko saal 2023 mein 9 September ke din manzoori de di gayi hai.
- Is yojana ki wajah se ab Madhya Pradesh ke beghar logon ko khud ka ghar prapt hoga saath hi kachche gharon mein rehne wale logon ko pakka makaan mil sakega.
- Yojana mein aisi behnon ko prathamikta di jayegi, jo Pradhan Mantri Awas Yojana ke liye patra hone ke bavjood bhi uska labh abhi tak prapt nahi kar saki hain.
- Shahri ilakon mein rahti patra behnon ko sarkar pakka makaan aur graminy ilakon mein rahti patra behnon ko makaan ke liye plot upalabdh karwayegi.
- Uparokt yojana ke shuru ho jane ki wajah se ab Madhya Pradesh mein koi bhi garib parivar aisa nahi hoga jinke paas aawas na ho.
Also Read :- TTD Online Room Booking 100 Rs 2023| रूम बुकिंग TTD 100 रुपये
Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana Patrata (Eligibility)
Sirf Madhya Pradesh ki mool nivaasi behnon ko hi yojana ka faayda diya jayega.
Sirf Madhya Pradesh ki mahila hi is yojana ke liye patra hai.
Jo behne Ladli Behna Yojana ke liye patra hai, unhe hi yojana ka faayda diya jayega.
Aavedak ki umra 21 saal se lekar 60 saal ke beech hona avashyak hai.
Beghar log hi yojana ke liye patra hain athwa kachche gharon mein rahti behne yojana ke liye patra hain.
Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana Dastavej (Documents)
- Aavedak ka Aadhar card
- Samagri ID
- Mool nivaas praman patra
- Bank khate ki jaankari
- Mobile number
- Colorful passport size photograph
Ladli Behna Awas Yojana Adhikarik Website (Official Website)
Sarkar ke dwara yojana ke liye adhikarik website ko jaari kar diya gaya hai. Adhikarik website ka istemal aap tab kar sakte hain, jab aapko yojana ke bare mein aur bhi adhik jaankari prapt karni ho ya phir yojana ke PDF form ko download karna ho. Adhikarik website ka link upar diye hue table mein aapko prapt hoga.
Madhya Pradesh LadliBehna Awas Yojana Form PDF
Is yojana ka form download karne ke liye aapko adhikarik website par jana hoga aur search box par click karke form ko search karna hoga. Yadi form available hoga, to aap use wahan se download kar sakte hain.
Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana Online Aavedan (Apply Online)
Jaankari ke liye batana chahte hain ki, abhi is yojana ko shuru kiye hue mushkil se do se char din hi hua hai. Aise mein sarkar ne yojana ka faayda kise milega aur yojana ke liye helpline number kya hai, iski jaankari to pradan ki hai lekin sarkar ne abhi yah nahi bataya hua hai ki kaise kaise is yojana mein aavedan kiya ja sakta hai. Haalanki sarkar ne adhikarik website jaari kar di hai. Yojana mein aavedan karne ke liye abhi aapko thode samay tak intezaar karna hoga. Jaise hi aavedan ki jaankari hamein prapt hoti hai, waise hi jaankari ko isi article mein update kar diya jayega, taaki aap yojana mein aavedan karke iska laabh utha sake.
Also Read :- Rajasthan Free Laptop Yojana 2023 जिलेवार मेरिट लिस्ट
Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana Helpline (Helpline Number)
Article mein aapne jaan liya hai ki, Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana kya hai aur Madhya Pradesh Ladli Behna Awas Yojana mein kaise aavedan karen. Ab niche hum aapko yojana se sambandhit helpline number bhi de rahe hain. Iska istemal yojana ke bare mein adhik jaankari paane ke liye ya yojana se sambandhit shikayat ko darj karwane ke liye kiya ja sakta hai.
- 0755-2700800
Official Site | Click Here |
Home Page | Click Here |
